Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

takmil-e-arzu ki tamanna karenge hum

Syed Manzar Hasan Desnavi

takmil-e-arzu ki tamanna karenge hum

Syed Manzar Hasan Desnavi

MORE BYSyed Manzar Hasan Desnavi

    takmīl-e-ārzū tamanna kareñge ham

    ḳhud apne jazb-e-shauq ko rusvā kareñge ham

    dard-e-jigar aaj mudāvā kareñge ham

    qismat hamārī so.egī jaagā kareñge ham

    gum-karda rāh-e-dasht-e-junūñ meñ na ho koī

    ab apne naqsh-e-pā ko miTāyā kareñge ham

    maanā ki rāh-e-ishq meñ hai naqs-e-ābrū

    kis ne kahā ki tark-e-tamannā kareñge ham

    aisā bhī koī hogā zamāne meñ inqalāb

    jab aañkh bhar ke aap ko dekhā kareñge ham

    baada to vo bhī piitā hai lekin ba-qaid-e-hosh

    'manzar' ko chashm-e-ḳhalq meñ rusvā kareñge ham

    takmil-e-arzu ki tamanna karenge hum

    KHud apne jazb-e-shauq ko ruswa karenge hum

    dard-e-jigar ka aaj mudawa karenge hum

    qismat hamari soegi jaga karenge hum

    gum-karda rah-e-dasht-e-junun mein na ho koi

    ab apne naqsh-e-pa ko miTaya karenge hum

    mana ki rah-e-ishq mein hai naqs-e-abru

    kis ne kaha ki tark-e-tamanna karenge hum

    aisa bhi koi hoga zamane mein inqalab

    jab aankh bhar ke aap ko dekha karenge hum

    baada to wo bhi pita hai lekin ba-qaid-e-hosh

    'manzar' ko chashm-e-KHalq mein ruswa karenge hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now