takmil-e-shabab chahta hun
takmīl-e-shabāb chāhtā huuñ
ho jā.ūñ ḳharāb chāhtā huuñ
sar ma.arka-e-alam hai karnā
thoḌī sī sharāb chāhtā huuñ
apnī hī latāfat-e-nazar kī
us ruḳh pe naqāb chāhtā huuñ
ho ḳhair mohabbatoñ kī yārab
zālim se javāb chāhtā huuñ
haañ ai ġham-e-ishrat-e-guzishta
ik fursat-e-ḳhvāb chāhtā huuñ
is chheḌ pe zindagī tasadduq
be-vaj.h itaab chāhtā huuñ
vo mujh se savāl kar rahe haiñ
maiñ un se javāb chāhtā huuñ
kuchh aisī haqīqateñ haiñ jin ko
pāband-e-hijāb chāhtā huuñ
takmil-e-shabab chahta hun
ho jaun KHarab chahta hun
sar marka-e-alam hai karna
thoDi si sharab chahta hun
apni hi latafat-e-nazar ki
us ruKH pe naqab chahta hun
ho KHair mohabbaton ki yarab
zalim se jawab chahta hun
han ai gham-e-ishrat-e-guzishta
ek fursat-e-KHwab chahta hun
is chheD pe zindagi tasadduq
be-wajh itab chahta hun
wo mujh se sawal kar rahe hain
main un se jawab chahta hun
kuchh aisi haqiqaten hain jin ko
paband-e-hijab chahta hun
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 236)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.