takmil ko pahunch ke bikharta hua wajud
takmīl ko pahuñch ke bikhartā huā vajūd
apnī bulandiyoñ se utartā huā vajūd
rāz-e-hayāt apnī nazar meñ liye hue
sarhad se zindagī kī guzartā huā vajūd
kāñToñ kī nok par bhī hañsī bhūltā nahīñ
shabnam ke motiyoñ kā bikhartā huā vajūd
tajdīd-e-ārzū-e-dil-ārā kiye hue
har shaam zindagī kā sañvartā huā vajūd
dhuñdlā na jaa.e yūrish-e-zulmāt se kahīñ
ab ujlī chāñdnī kā nikhartā huā vajūd
takmil ko pahunch ke bikharta hua wajud
apni bulandiyon se utarta hua wajud
raaz-e-hayat apni nazar mein liye hue
sarhad se zindagi ki guzarta hua wajud
kanTon ki nok par bhi hansi bhulta nahin
shabnam ke motiyon ka bikharta hua wajud
tajdid-e-arzu-e-dil-ara kiye hue
har sham zindagi ka sanwarta hua wajud
dhundla na jae yurish-e-zulmat se kahin
ab ujli chandni ka nikharta hua wajud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.