Takra rahe hain mauj-e-fareb-e-jahan se hum
Takrā rahe haiñ mauj-e-fareb-e-jahāñ se ham
aise meñ tujh ko laa.eñ javānī kahāñ se ham
marham ke bāvajūd bhī bharte nahīñ haiñ zaḳhm
vāqif haiñ nashtar-e-karam-e-dostāñ se ham
har lafz ek Tiis hai har jumla ik fuġhāñ
afsāna-e-hayāt sunā.eñ kahāñ se ham
allah re be-ḳhudī ki hameñ pūchhnā paḌā
jaa.eñ kidhar ko aa.e haiñ yaaro kahāñ se ham
ab dekhnī haiñ ahl-e-karam kī navāzisheñ
uTh to ga.e haiñ mahfil-e-pīr-e-muġhāñ se ham
dil hogā aur mātam-e-barbādī-e-chaman
uljhe na aaj agar ravish-e-bāġhbāñ se ham
'bismil' ye ittifāq bhī kitnā 'ajīb hai
pahuñche haiñ har yaqīn kī tah tak gumāñ se ham
Takra rahe hain mauj-e-fareb-e-jahan se hum
aise mein tujh ko laen jawani kahan se hum
marham ke bawajud bhi bharte nahin hain zaKHm
waqif hain nashtar-e-karam-e-dostan se hum
har lafz ek Tis hai har jumla ek fughan
afsana-e-hayat sunaen kahan se hum
allah re be-KHudi ki hamein puchhna paDa
jaen kidhar ko aae hain yaro kahan se hum
ab dekhni hain ahl-e-karam ki nawazishen
uTh to gae hain mahfil-e-pir-e-mughan se hum
dil hoga aur matam-e-barbaadi-e-chaman
uljhe na aaj agar rawish-e-baghban se hum
'bismil' ye ittifaq bhi kitna 'ajib hai
pahunche hain har yaqin ki tah tak guman se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.