talash-e-manzil-e-rahat mein hum jahan guzre
talāsh-e-manzil-e-rāhat meñ ham jahāñ guzre
fareb-ḳhurda umīdoñ ke darmiyāñ guzre
ka.ī hasīn umīdoñ ne paañv thaam liye
tirī galī se jo ik baar nā-gahāñ guzre
bhaTak ke rah ga.e rāhoñ meñ sochne vaale
magar jo ahal-e-amal the ravāñ-davāñ guzre
hazār bazm kī sargoshiyoñ ne uksāyā
magar ham ahl-e-zabāñ ho ke be-zabāñ guzre
talash-e-manzil-e-rahat mein hum jahan guzre
fareb-KHurda umidon ke darmiyan guzre
kai hasin umidon ne panw tham liye
teri gali se jo ek bar na-gahan guzre
bhaTak ke rah gae rahon mein sochne wale
magar jo ahal-e-amal the rawan-dawan guzre
hazar bazm ki sargoshiyon ne uksaya
magar hum ahl-e-zaban ho ke be-zaban guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.