talash-e-rah mein rahi kahan kahan na gaya
talāsh-e-rāh meñ raahī kahāñ kahāñ na gayā
talab jahāñ kī use thī kabhī vahāñ na gayā
yahāñ se aage kahīñ phir ye kārvāñ na gayā
ki mere ghar se to bāhar kabhī dhuāñ na gayā
ulajhtī rah ga.iiñ maujoñ se kashtiyāñ apnī
havā thī tez magar zor-e-bādbāñ na gayā
use añdheroñ kī pahchān kyā huī logo
charāġh jis kā havāoñ ke darmiyāñ na gayā
har ek ḳhitta-e-maqtal meñ the khile ġhunche
mire lahū kā koī qatra rā.egāñ na gayā
talash-e-rah mein rahi kahan kahan na gaya
talab jahan ki use thi kabhi wahan na gaya
yahan se aage kahin phir ye karwan na gaya
ki mere ghar se to bahar kabhi dhuan na gaya
ulajhti rah gain maujon se kashtiyan apni
hawa thi tez magar zor-e-baadban na gaya
use andheron ki pahchan kya hui logo
charagh jis ka hawaon ke darmiyan na gaya
har ek KHitta-e-maqtal mein the khile ghunche
mere lahu ka koi qatra raegan na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.