talash-e-rizq mein diwan karta rahta hun
talāsh-e-rizq meñ dīvān kartā rahtā huuñ
abhī safar nahīñ sāmān kartā rahtā huuñ
ḳhud apnī raah meñ aksar pahāḌ ugātā huuñ
ḳhud apnī mushkileñ āsān kartā rahtā huuñ
sajātā rahtā huuñ kāġhaz ke phuul shāḳhoñ par
maiñ titliyoñ ko pareshān kartā rahtā huuñ
maiñ tuḳhm-e-ashk se tūfāñ ugāne kī zid meñ
tamām-shahr ko hairān kartā rahtā huuñ
mire makāñ meñ dhuāñ bhī ghuTan bhī hai lekin
maiñ ḳhushbuoñ ko bhī mehmān kartā rahtā huuñ
talash-e-rizq mein diwan karta rahta hun
abhi safar nahin saman karta rahta hun
KHud apni rah mein aksar pahaD ugata hun
KHud apni mushkilen aasan karta rahta hun
sajata rahta hun kaghaz ke phul shaKHon par
main titliyon ko pareshan karta rahta hun
main tuKHm-e-ashk se tufan ugane ki zid mein
tamam-shahr ko hairan karta rahta hun
mere makan mein dhuan bhi ghuTan bhi hai lekin
main KHushbuon ko bhi mehman karta rahta hun
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 267)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.