talash-e-rizq mein jis ne zara achchha bura samjha
talash-e-rizq mein jis ne zara achchha bura samjha
Imran Ali Khan Imran
MORE BYImran Ali Khan Imran
talāsh-e-rizq meñ jis ne zarā achchhā burā samjhā
to phir us ne haqīqat meñ ḳhudā ko bhī ḳhudā samjhā
vo ḳhalvat meñ vo jalvat meñ kahāñ us se chhupegā tū
agar tū ye nahīñ samjhā batā de phir ki kyā samjhā
hamārā ḳhuun shāmil hai vatan ke zarre zarre meñ
magar afsos ki ahl-e-vatan ne bevafā samjhā
bayān-e-husn shā.ir ke taḳhayyul kā karishma hai
kabhī zulfoñ ko vo nāgin kabhī kaalī ghaTā samjhā
gañvā dī jaan 'imrāñ' ne hai jis kī jaan kī ḳhātir
vo us kī maut ko phir bhī faqat ik hādisa samjhā
talash-e-rizq mein jis ne zara achchha bura samjha
to phir us ne haqiqat mein KHuda ko bhi KHuda samjha
wo KHalwat mein wo jalwat mein kahan us se chhupega tu
agar tu ye nahin samjha bata de phir ki kya samjha
hamara KHun shamil hai watan ke zarre zarre mein
magar afsos ki ahl-e-watan ne bewafa samjha
bayan-e-husn shair ke taKHayyul ka karishma hai
kabhi zulfon ko wo nagin kabhi kali ghaTa samjha
ganwa di jaan 'imran' ne hai jis ki jaan ki KHatir
wo us ki maut ko phir bhi faqat ek hadisa samjha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.