talash-e-yar mein guzri hai zindagi tanha
talāsh-e-yār meñ guzrī hai zindagī tanhā
bhaTak rahā huuñ añdheroñ meñ aaj bhī tanhā
vahāñ to saañs bhī lenā azaab lagtā hai
sisak rahī ho jahāñ koī zindagī tanhā
akelā maiñ hī nahīñ huuñ asīr-e-zulmat-e-ġham
bujhā bujhā hai añdheroñ meñ chāñd bhī tanhā
tamām chāñd sitāroñ kā nuur ek taraf
aur ek samt hai sūraj kī raushnī tanhā
mire ḳhulūs meñ shāyad kamī hai kuchh varna
mujhī se karte haiñ kyuuñ log dushmanī tanhā
kisī kī zulf kā saaya talāsh kar varna
'asar' guzar na sakegī ye zindagī tanhā
talash-e-yar mein guzri hai zindagi tanha
bhaTak raha hun andheron mein aaj bhi tanha
wahan to sans bhi lena azab lagta hai
sisak rahi ho jahan koi zindagi tanha
akela main hi nahin hun asir-e-zulmat-e-gham
bujha bujha hai andheron mein chand bhi tanha
tamam chand sitaron ka nur ek taraf
aur ek samt hai suraj ki raushni tanha
mere KHulus mein shayad kami hai kuchh warna
mujhi se karte hain kyun log dushmani tanha
kisi ki zulf ka saya talash kar warna
'asar' guzar na sakegi ye zindagi tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.