talash-e-yar mein har moD se guzarte hue
talāsh-e-yār meñ har moḌ se guzarte hue
mile haiñ log mujhe TūTte bikharte hue
kabhī to aa ke mire dil ko de tasallī bhī
zamāna biit gayā intizār karte hue
havā.eñ buġhz-o-kudūrat kī chal rahī hoñ jahāñ
basāo pyaar kā gulshan vahāñ pe Darte hue
ye soch kar koī ahd-o-vafā karo mujhe se
ki jaan deñge rah-e-shauq se guzarte hue
tarāsh hone lagā bāġhbāñ bahāroñ se
chaman ke phuul nazar aa.e jo bikharte hue
ye maanā kāvisheñ qismat sañvār detī haiñ
zamāna chāhiye taqdīr ko sañvarte hue
tumhārī bazm meñ aa.egā 'āshnā' ik din
hujūm-e-yās kī chādar ko chaak karte hue
talash-e-yar mein har moD se guzarte hue
mile hain log mujhe TuTte bikharte hue
kabhi to aa ke mere dil ko de tasalli bhi
zamana bit gaya intizar karte hue
hawaen bughz-o-kudurat ki chal rahi hon jahan
basao pyar ka gulshan wahan pe Darte hue
ye soch kar koi ahd-o-wafa karo mujhe se
ki jaan denge rah-e-shauq se guzarte hue
tarash hone laga baghban bahaaron se
chaman ke phul nazar aae jo bikharte hue
ye mana kawishen qismat sanwar deti hain
zamana chahiye taqdir ko sanwarte hue
tumhaari bazm mein aaega 'ashna' ek din
hujum-e-yas ki chadar ko chaak karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.