talash-e-yar mein jaan se guzar ke dekhte hain
talāsh-e-yār meñ jaañ se guzar ke dekhte haiñ
jo ḳhaak haiñ to zamīñ par bikhar ke dekhte haiñ
vo kis ne dekhī hai gahrā.ī shām-e-furqat kī
ufuq ke paar zamīñ par utar ke dekhte haiñ
sunā hai us kī nigāheñ shikār kartī haiñ
karishme ham bhī chalo fitna-gar ke dekhte haiñ
agar gulāb hī un ko pasand aate haiñ
to kyoñ na aaj se ham bhī sañvar ke dekhte haiñ
ye kaun shaḳhs hai jaane kidhar se aaya hai
dīvāne saare hameñ shahr-bhar ke dekhte haiñ
ḳhudā unheñ to bure din kabhī na dikhlā.e
vo hausle jo hamāre jigar ke dekhte haiñ
hamārī āñkhoñ meñ chashme se phuuT paḌte haiñ
kabhī kabhī vo hameñ aañkh bhar ke dekhte haiñ
kaleja thaam ke rakhnā ai dost mahfil meñ
vo kyā se kyā na sitam ham pe kar ke dekhte haiñ
hamāre sar pe qayāmat sī TuuT paḌtī hai
kabhī zamīñ se zarā sā ubhar ke dekhte haiñ
talāsh-e-yār meñ rahtī hai merī tanhā.ī
dayār-e-ġhair meñ kyā kyā na kar ke dekhte haiñ
mirā hī aks hai mujh se ḳhafā ḳhafā 'barham'
to kyoñ na us ke hī hāthoñ se mar ke dekhte haiñ
talash-e-yar mein jaan se guzar ke dekhte hain
jo KHak hain to zamin par bikhar ke dekhte hain
wo kis ne dekhi hai gahrai sham-e-furqat ki
ufuq ke par zamin par utar ke dekhte hain
suna hai us ki nigahen shikar karti hain
karishme hum bhi chalo fitna-gar ke dekhte hain
agar gulab hi un ko pasand aate hain
to kyon na aaj se hum bhi sanwar ke dekhte hain
ye kaun shaKHs hai jaane kidhar se aaya hai
diwane sare hamein shahr-bhar ke dekhte hain
KHuda unhen to bure din kabhi na dikhlae
wo hausle jo hamare jigar ke dekhte hain
hamari aankhon mein chashme se phuT paDte hain
kabhi kabhi wo hamein aankh bhar ke dekhte hain
kaleja tham ke rakhna ai dost mahfil mein
wo kya se kya na sitam hum pe kar ke dekhte hain
hamare sar pe qayamat si TuT paDti hai
kabhi zamin se zara sa ubhar ke dekhte hain
talash-e-yar mein rahti hai meri tanhai
dayar-e-ghair mein kya kya na kar ke dekhte hain
mera hi aks hai mujh se KHafa KHafa 'barham'
to kyon na us ke hi hathon se mar ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.