talash-e-yar mein nikle to yaad ghar na raha
talāsh-e-yār meñ nikle to yaad ghar na rahā
vo shauq-e-dīd ki andāza-e-safar na rahā
huiiñ bashārateñ hijrat kī jab parindoñ ko
to un ke dil meñ badaltī rutoñ kā Dar na rahā
sitam-zarīfī-e-tahzīb-e-nau tire qurbāñ
koī bhī shaḳhs zamāne meñ mo'atabar na rahā
falak se utregā ham par tamāzatoñ kā azaab
agar zamīñ pe kahīñ sāya-e-shajar na rahā
unhīñ ke paas haiñ ab bhī vasā.il-e-ta.amīr
jinheñ salīqa-e-taz.īn-e-bām-o-dar na rahā
'asad' kā aur zamāna thā ab to majnūñ par
kisī ne sang uThāyā to yaad sar na rahā
usī ḳhudā se hai ummīd-e-maġhfirat ai 'soz'
ki jis kā ḳhauf tire dil meñ umr bhar na rahā
talash-e-yar mein nikle to yaad ghar na raha
wo shauq-e-did ki andaza-e-safar na raha
huin bashaaraten hijrat ki jab parindon ko
to un ke dil mein badalti ruton ka Dar na raha
sitam-zarifi-e-tahzib-e-nau tere qurban
koi bhi shaKHs zamane mein mo'atabar na raha
falak se utrega hum par tamazaton ka azab
agar zamin pe kahin saya-e-shajar na raha
unhin ke pas hain ab bhi wasail-e-tamir
jinhen saliqa-e-tazin-e-baam-o-dar na raha
'asad' ka aur zamana tha ab to majnun par
kisi ne sang uThaya to yaad sar na raha
usi KHuda se hai ummid-e-maghfirat ai 'soz'
ki jis ka KHauf tere dil mein umr bhar na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.