talash karti hai tujhko meri nazar har su
talāsh kartī hai tujh ko mirī nazar har sū
jamāl-e-rūh mire dil kī raushnī hai tū
ye kis kī yaad ye kis kā ḳhayāl aayā hai
mahak mahak hai tajallī kiran kiran ḳhushbū
sulag sulag ke sar-e-shāḳh bujh ga.iiñ kaliyāñ
mire badan meñ thā ḳhvābīda jin kā zauq-e-numū
mirī nigāh meñ jalve ye kis sahar ke haiñ
ki daaġh daaġh na.e āftāb kā hai lahū
talash karti hai tujh ko meri nazar har su
jamal-e-ruh mere dil ki raushni hai tu
ye kis ki yaad ye kis ka KHayal aaya hai
mahak mahak hai tajalli kiran kiran KHushbu
sulag sulag ke sar-e-shaKH bujh gain kaliyan
mere badan mein tha KHwabida jin ka zauq-e-numu
meri nigah mein jalwe ye kis sahar ke hain
ki dagh dagh nae aaftab ka hai lahu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.