talash maine zindagi mein teri be-shumar ki
talāsh maiñ ne zindagī meñ terī be-shumār kī
jo tū nahīñ milā to tujh sī shakl iḳhtiyār kī
taqāza karne maut aa.ī tab mujhe pata lagā
abhī talak maiñ le rahā thā saañs bhī udhār kī
thī sard yaad kī havā maiñ dasht meñ thā maazī ke
na pūchhiye janāb maiñ ne kaise raat paar kī
tamām shab guzar ga.ī bas ek is umiid meñ
palaT ke aa.egī sadā kabhī to is pukār kī
ThiThur rahe haiñ kyuuñ bhalā ḳhudā ke hī to ham bhī haiñ
chalo uThā ke oḌh leñ vo chādareñ mazār kī
jalā diiñ maiñ ne zehn kī kitābeñ saarī is liye
ki dāstān thī sabhī meñ us ke intizār kī
bikhertī hai shab mujhe sameT letī hai sahar
maiñ chāhtā huuñ ḳhatm ho ye jañg baar baar kī
mujhe ġhurūr toḌnā thā mauj kā isī liye
utar paḌā maiñ naav se badan se naddī paar kī
talash main ne zindagi mein teri be-shumar ki
jo tu nahin mila to tujh si shakl iKHtiyar ki
taqaza karne maut aai tab mujhe pata laga
abhi talak main le raha tha sans bhi udhaar ki
thi sard yaad ki hawa main dasht mein tha mazi ke
na puchhiye janab main ne kaise raat par ki
tamam shab guzar gai bas ek is umid mein
palaT ke aaegi sada kabhi to is pukar ki
ThiThur rahe hain kyun bhala KHuda ke hi to hum bhi hain
chalo uTha ke oDh len wo chadaren mazar ki
jala din main ne zehn ki kitaben sari is liye
ki dastan thi sabhi mein us ke intizar ki
bikherti hai shab mujhe sameT leti hai sahar
main chahta hun KHatm ho ye jang bar bar ki
mujhe ghurur toDna tha mauj ka isi liye
utar paDa main naw se badan se naddi par ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.