talash phir koi khoi si rahguzar mein thi
talāsh phir koī khoī sī rahguzār meñ thī
phir aaj ik shaam sub.h ke intizār meñ thī
vajūd garche havāoñ kī zad pe thā hamārā
charāġh kī lau hatheliyoñ ke hisār meñ thī
nigāh ke saare iḳhtiyārāt salb se the
kashish na jaane vo kaun sī ḳhārzār meñ thī
umiid se thiiñ yahāñ vahāñ tak tamām āñkheñ
talab barahna visāl ke kār-zār meñ thī
use musavvir ne raushnī se badan kiyā hai
añdherī ḳhushbū jo dīda-e-ḳhvāb-kār meñ thī
vaqār qaa.em na rakh sakī dūsre badan par
anā bahut mo'atabar thī jab ḳhāksār meñ thī
ḳhayāl 'parvez' dā.era band ho gayā thā
yaqīn sī koī chiiz qurb-o-javār meñ thī
talash phir koi khoi si rahguzar mein thi
phir aaj ek sham subh ke intizar mein thi
wajud garche hawaon ki zad pe tha hamara
charagh ki lau hatheliyon ke hisar mein thi
nigah ke sare iKHtiyaraat salb se the
kashish na jaane wo kaun si KHarzar mein thi
umid se thin yahan wahan tak tamam aankhen
talab barahna visal ke kar-zar mein thi
use musawwir ne raushni se badan kiya hai
andheri KHushbu jo dida-e-KHwab-kar mein thi
waqar qaem na rakh saki dusre badan par
ana bahut mo'atabar thi jab KHaksar mein thi
KHayal 'parwez' daera band ho gaya tha
yaqin si koi chiz qurb-o-jawar mein thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.