talab aasudgi ki arsa-e-duniya mein rakhte hain
talab āsūdgī kī arsa-e-duniyā meñ rakhte haiñ
umīd-e-fasl-e-gul hai aur qadam sahrā meñ rakhte haiñ
hue haiñ is qadar mānūs ham paimān-e-fardā se
ki ab dil kā safīna hijr ke dariyā meñ rakhte haiñ
bashar ko dekhiye bā-īñ-hama sāhil pe martā hai
hubāb apnā asāsa sail-e-be-parvā meñ rakhte haiñ
hamāre paas koī gardish-e-daurāñ nahīñ aatī
ham apnī umr-e-fānī sāġhar-o-mīnā meñ rakhte haiñ
hameñ har gaam par miltā rahā ezāz-e-mahrūmī
vaqār apnā bahut ham dīda-e-duniā meñ rakhte haiñ
umīdoñ ke khañDar māyūsiyoñ ke dam-ba-ḳhud saa.e
baḌī hī raunaqeñ ham is dil-e-tanhā meñ rakhte haiñ
hamāre daur ke insān ḳhud apnī hī zid nikle
talab maazī kī hotī hai qadam fardā meñ rakhte haiñ
'zahīr' in dil-zadoñ kī azmateñ dekho ye parvāne
charāġh-e-ishq raushan vaadī o sahrā meñ rakhte haiñ
talab aasudgi ki arsa-e-duniya mein rakhte hain
umid-e-fasl-e-gul hai aur qadam sahra mein rakhte hain
hue hain is qadar manus hum paiman-e-farda se
ki ab dil ka safina hijr ke dariya mein rakhte hain
bashar ko dekhiye ba-in-hama sahil pe marta hai
hubab apna asasa sail-e-be-parwa mein rakhte hain
hamare pas koi gardish-e-dauran nahin aati
hum apni umr-e-fani saghar-o-mina mein rakhte hain
hamein har gam par milta raha ezaz-e-mahrumi
waqar apna bahut hum dida-e-dunia mein rakhte hain
umidon ke khanDar mayusiyon ke dam-ba-KHud sae
baDi hi raunaqen hum is dil-e-tanha mein rakhte hain
hamare daur ke insan KHud apni hi zid nikle
talab mazi ki hoti hai qadam farda mein rakhte hain
'zahir' in dil-zadon ki azmaten dekho ye parwane
charagh-e-ishq raushan wadi o sahra mein rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.