talab-garan-e-taKHt-o-taj zi-jah-o-hasham nikle
talab-gārān-e-taḳht-o-tāj zī-jāh-o-hasham nikle
havas ke bande sab minnat-kash-e-dair-o-haram nikle
shahādat mil ga.ī yā fat.h-o-nusrat pā ke lauTe haiñ
jihād-e-fī-sabīlillāh meñ jab bhī qadam nikle
bisāt-e-jang ulaT kar rah ga.ī tārīḳh shāhid hai
amāme bāñdh kar apne saroñ se jab bhī ham nikle
kabhī tishna-labī kī baat hoñToñ tak na aane dī
tumhārī bazm-e-rangīñ kā sadā rakh kar bharam nikle
na jaane kis ne dard-o-ġham ko ye rasta batāyā thā
ye mehmāñ ghar se jab nikle to le ke merā dam nikle
vo kyoñ shānoñ pe yuuñ zulf-e-pareshāñ ko jhaTakte haiñ
jigar ke zaḳhm shāyad un ke andāze se kam nikle
'razā' chaliye ki tauhīn-e-talab se bach ga.e ham bhī
tavaqqo' jin se thī vo ḳhud hī mohtāj-e-karam nikle
talab-garan-e-taKHt-o-taj zi-jah-o-hasham nikle
hawas ke bande sab minnat-kash-e-dair-o-haram nikle
shahadat mil gai ya fath-o-nusrat pa ke lauTe hain
jihad-e-fi-sabilillah mein jab bhi qadam nikle
bisat-e-jang ulaT kar rah gai tariKH shahid hai
amame bandh kar apne saron se jab bhi hum nikle
kabhi tishna-labi ki baat honTon tak na aane di
tumhaari bazm-e-rangin ka sada rakh kar bharam nikle
na jaane kis ne dard-o-gham ko ye rasta bataya tha
ye mehman ghar se jab nikle to le ke mera dam nikle
wo kyon shanon pe yun zulf-e-pareshan ko jhaTakte hain
jigar ke zaKHm shayad un ke andaze se kam nikle
'raza' chaliye ki tauhin-e-talab se bach gae hum bhi
tawaqqo' jin se thi wo KHud hi mohtaj-e-karam nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.