talab se bhi kuchh aur ziyaada mila
talab se bhī kuchh aur ziyāda milā
badan par ġhamoñ kā labāda milā
mujhe har jagah sarfarāzī milī
ki ġham kā mujhe shāhzāda milā
bahut sādgī us ke bachpan meñ thī
javānī kā qissa bhī saada milā
ki be-sāz-o-sāmān thā is liye
mujhe har safar be-irāda milā
zamīñ par tū sau āsmāñ oḌh le
makāñ tujh ko kitnā kushāda milā
rag-e-sañg jab bhī nichoḌī ga.ī
guloñ kā lahū taaza taaza milā
hañsī ko taraste hue lab mile
har ik shakl par ġham kā ġhāza milā
talab se bhi kuchh aur ziyaada mila
badan par ghamon ka labaada mila
mujhe har jagah sarfaraazi mili
ki gham ka mujhe shahzada mila
bahut sadgi us ke bachpan mein thi
jawani ka qissa bhi sada mila
ki be-saz-o-saman tha is liye
mujhe har safar be-irada mila
zamin par tu sau aasman oDh le
makan tujh ko kitna kushada mila
rag-e-sang jab bhi nichoDi gai
gulon ka lahu taza taza mila
hansi ko taraste hue lab mile
har ek shakl par gham ka ghaza mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.