talKH kar len zindagi kyon fikr-e-mustaqbil se hum
talKH kar len zindagi kyon fikr-e-mustaqbil se hum
Abdussamad Qaiser
MORE BYAbdussamad Qaiser
talḳh kar leñ zindagī kyoñ fikr-e-mustaqbil se ham
baaz aa.e is junūn-e-sa.ī-e-lā-hāsil se ham
ye haram ye dair ye hosh-o-ḳhirad kī gumrahī
har qadam kuchh duur hī hote ga.e manzil se ham
intihā-e-shauq meñ Duube hue kho.e hue
terī mahfil meñ bhī kitnī duur haiñ mahfil se ham
hasrat-e-sāhil bhī thī tūfāñ se jab tak duur the
Duub kar ubhre to ab bezār haiñ sāhil se ham
ye musalsal be-hisī uftādgī farsūdgī
ḳhuub haiñ tūfāñ meñ 'qaisar' dūrī-e-sāhil se ham
talKH kar len zindagi kyon fikr-e-mustaqbil se hum
baz aae is junun-e-sai-e-la-hasil se hum
ye haram ye dair ye hosh-o-KHirad ki gumrahi
har qadam kuchh dur hi hote gae manzil se hum
intiha-e-shauq mein Dube hue khoe hue
teri mahfil mein bhi kitni dur hain mahfil se hum
hasrat-e-sahil bhi thi tufan se jab tak dur the
Dub kar ubhre to ab bezar hain sahil se hum
ye musalsal be-hisi uftadgi farsudgi
KHub hain tufan mein 'qaisar' duri-e-sahil se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.