talKH lamhat mein jiya hua hai
talḳh lamhāt meñ jiyā huā hai
maiñ ne ye kaam bhī kiyā huā hai
kyā kuredā hai apne zaḳhmoñ ko
yā koī aur sāneha huā hai
kuchh dinoñ se maiñ iztirāb meñ huuñ
kuchh dinoñ se ye silsila huā hai
aise lahje meñ mujh se baat na kar
āj-kal merā sar phirā huā hai
ek sajda hai tishna-e-masjūd
ek sajda abhī adā huā hai
ab talak zā.iqa nahīñ utrā
maiñ ne ik ghūñT hī piyā huā hai
pyaar meñ 'roz' e'tidāl kahāñ
ibtidā kī to intihā huā hai
talKH lamhat mein jiya hua hai
main ne ye kaam bhi kiya hua hai
kya kureda hai apne zaKHmon ko
ya koi aur saneha hua hai
kuchh dinon se main iztirab mein hun
kuchh dinon se ye silsila hua hai
aise lahje mein mujh se baat na kar
aaj-kal mera sar phira hua hai
ek sajda hai tishna-e-masjud
ek sajda abhi ada hua hai
ab talak zaiqa nahin utra
main ne ek ghunT hi piya hua hai
pyar mein 'roz' e'tidal kahan
ibtida ki to intiha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.