talKH suna hai ji tera arsa hua niDhaal hai
'talḳh' sunā hai jī tirā arsa huā niDhāl hai
ḳhud se zarā nikal ke dekh ek sā sab kā haal hai
sāmne aa gayā vo jab kar ga.e dar-guzar use
ab ye talāsh hai abas merā yahī ḳhayāl hai
raah takegā kyā koī aa bhī sakegā kyā koī
chal paḌeñ yā ruke raheñ sochnā tak muhāl hai
vaqt-shikan koī kahāñ vaqt ke haath paḌ gayā
is kā na kuchh hisāb hai aur na koī misāl hai
apnī har ek chaal par tum jo rahe ho ḳhanda-zan
maat hai dekhte ho kyā aao tumhārī chaal hai
radd o qubūl terā haq radd-e-amal hamārā haq
ek bhī multajī nahīñ sab kī nazar savāl hai
'talḳh' maiñ is kā aaj tak DhūñD nahīñ sakā javāz
dil ko ye kyā sukūn hai aur ye kyā malāl hai
'talKH' suna hai ji tera arsa hua niDhaal hai
KHud se zara nikal ke dekh ek sa sab ka haal hai
samne aa gaya wo jab kar gae dar-guzar use
ab ye talash hai abas mera yahi KHayal hai
rah takega kya koi aa bhi sakega kya koi
chal paDen ya ruke rahen sochna tak muhaal hai
waqt-shikan koi kahan waqt ke hath paD gaya
is ka na kuchh hisab hai aur na koi misal hai
apni har ek chaal par tum jo rahe ho KHanda-zan
mat hai dekhte ho kya aao tumhaari chaal hai
radd o qubul tera haq radd-e-amal hamara haq
ek bhi multaji nahin sab ki nazar sawal hai
'talKH' main is ka aaj tak DhunD nahin saka jawaz
dil ko ye kya sukun hai aur ye kya malal hai
- Book : Waseela (Pg. 48)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.