talKHi-e-ayyam rahn-e-jam ki
talḳhī-e-ayyām rahn-e-jām kī
bāda-ḳhāne meñ basar har shaam kī
bazm meñ saaqī kī chashm-e-mast ne
sharm rakh lī ek tishna-kām kī
kaash sun lete vo merī dāstāñ
baat rah jaatī dil-e-nākām kī
miT na paa.ī zindagī kī talḳhiyāñ
bāda-noshī ham ne go har shaam kī
ham kahāñ the is qadar be-rañg-o-nām
dosto gardish hai sub.h-o-shām kī
baada ḳhvāroñ ne na chalne dī koī
mai-kade meñ gardish-e-ayyām kī
is nigāh-e-muḳhtasar kā shukriya
baat ban aa.ī dil-e-nākām kī
āsī-e-kam-zarf ne hangām meñ
anjuman kī anjuman badnām kī
talKHi-e-ayyam rahn-e-jam ki
baada-KHane mein basar har sham ki
bazm mein saqi ki chashm-e-mast ne
sharm rakh li ek tishna-kaam ki
kash sun lete wo meri dastan
baat rah jati dil-e-nakaam ki
miT na pai zindagi ki talKHiyan
baada-noshi hum ne go har sham ki
hum kahan the is qadar be-rang-o-nam
dosto gardish hai subh-o-sham ki
baada KHwaron ne na chalne di koi
mai-kade mein gardish-e-ayyam ki
is nigah-e-muKHtasar ka shukriya
baat ban aai dil-e-nakaam ki
aasi-e-kam-zarf ne hangam mein
anjuman ki anjuman badnam ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.