talKHi-e-jam Dolne jaisi
talḳhī-e-jām Dolne jaisī
tishnagī hoñT kholne jaisī
is qadar shor ruuh meñ barpā
ḳhāmoshī merī bolne jaisī
sā.at-e-shauq bo gayā hai koī
ḳhuun meñ zahr gholne jaisī
lo ye ummīd phir jagātī hai
ek aahaT TaTolne jaisī
ḳhvāb aur ḳhvāhishoñ kī qismat hai
ḳhālī rastoñ pe rolne jaisī
talKHi-e-jam Dolne jaisi
tishnagi honT kholne jaisi
is qadar shor ruh mein barpa
KHamoshi meri bolne jaisi
saat-e-shauq bo gaya hai koi
KHun mein zahr gholne jaisi
lo ye ummid phir jagati hai
ek aahaT TaTolne jaisi
KHwab aur KHwahishon ki qismat hai
KHali raston pe rolne jaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.