talKHi-e-mai se sarKHushi lije
talḳhī-e-mai se sarḳhushī liije
kam se kam ek baar pī liije
sham.a kī tarah ro ke jiinā kyā
phuul kī tarah hañs ke jī liije
kuchh to liije bahār-e-hastī se
na sahī phuul pañkhuḌī lījiye
ishq kī rif.ateñ na hoñ rusvā
dāman-e-chāk-chāk sī liije
maut is daur meñ nahīñ mushkil
hausla hai to zindagī liije
sher meñ log kyā nahīñ kahte
aap 'ashraf' kī baat hī liije
talKHi-e-mai se sarKHushi lije
kam se kam ek bar pi lije
shama ki tarah ro ke jina kya
phul ki tarah hans ke ji lije
kuchh to lije bahaar-e-hasti se
na sahi phul pankhuDi lijiye
ishq ki rifaten na hon ruswa
daman-e-chaak-chaak si lije
maut is daur mein nahin mushkil
hausla hai to zindagi lije
sher mein log kya nahin kahte
aap 'ashraf' ki baat hi lije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.