talwar bano dard ke mare hue logo
talvār bano dard ke maare hue logo
yuuñ haar ke baiTho nahīñ haare hue logo
himmat ho to ta.abīreñ bhī kartī haiñ ināyat
āñkhoñ meñ chalo ḳhvāb sañvāre hue logo
tum miTTī ho miTTī ko hiqārat se na dekho
ai arsh-e-muallā se utāre hue logo
muhtāj usī dar ke haiñ hākim ki ġhanī hoñ
jaao na kahīñ haath pasāre hue logo
sahrā se chale aa bhī ga.e dār-o-rasan tak
honā thā jinheñ vo na hamāre hue logo
yāroñ ne 'anīs' apne nibāhī nahīñ yaarī
mīThe the jo dariyā vahī khāre hue logo
talwar bano dard ke mare hue logo
yun haar ke baiTho nahin haare hue logo
himmat ho to tabiren bhi karti hain inayat
aankhon mein chalo KHwab sanware hue logo
tum miTTi ho miTTi ko hiqarat se na dekho
ai arsh-e-mualla se utare hue logo
muhtaj usi dar ke hain hakim ki ghani hon
jao na kahin hath pasare hue logo
sahra se chale aa bhi gae dar-o-rasan tak
hona tha jinhen wo na hamare hue logo
yaron ne 'anis' apne nibahi nahin yari
miThe the jo dariya wahi khaare hue logo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.