tamam aalam-e-hasti hai ek nazar ka fareb
tamām ālam-e-hastī hai ik nazar kā fareb
kabhī hai shaam kā dhokā kabhī sahar kā fareb
na khā.eñge kabhī duniyā ke māl-o-zar kā fareb
jo khā chuke haiñ tirī chashm-e-ishva-gar kā fareb
uḌe chaman se to uḌ kar qafas-nasīb hue
ye jānte to na ham khāte bāl-o-par kā fareb
ham aur baḌh ga.e kuchh duur terī manzil se
ye ham-safar kā fusūñ thā ki rāhbar kā fareb
Thahar ga.e dam-e-ruḳhsat ba-ḳhauf-e-bārish-o-barq
vo khā ga.e dil-e-betāb-o-chashm-e-tar kā fareb
har ek gaam pe tū ne biThā diye rahzan
phir us pe hukm hai khānā na rahguzar kā fareb
pahuñch gayā tire hamnām ke yahāñ shāyad
batā rahā hai ḳhat-e-nāz-e-nāma-bar kā fareb
tumhāre jalva-e-raushan kī hai ye tābānī
na khaao vasl kī shab tābish-e-sahar kā fareb
kisī ke jalva-e-avval ne vo sitam Dhaa.e
ki ham na khā.eñge ab jalva-e-digar kā fareb
qadam to tez haiñ manzil magar hanūz hai duur
har ek gaam pe khāte haiñ ham-safar kā fareb
umīd-e-vasl meñ kaaTī tamām raat 'valī'
sahar huī to khulā la.al-e-hīla-gar kā fareb
tamam aalam-e-hasti hai ek nazar ka fareb
kabhi hai sham ka dhoka kabhi sahar ka fareb
na khaenge kabhi duniya ke mal-o-zar ka fareb
jo kha chuke hain teri chashm-e-ishwa-gar ka fareb
uDe chaman se to uD kar qafas-nasib hue
ye jaante to na hum khate baal-o-par ka fareb
hum aur baDh gae kuchh dur teri manzil se
ye ham-safar ka fusun tha ki rahbar ka fareb
Thahar gae dam-e-ruKHsat ba-KHauf-e-barish-o-barq
wo kha gae dil-e-betab-o-chashm-e-tar ka fareb
har ek gam pe tu ne biTha diye rahzan
phir us pe hukm hai khana na rahguzar ka fareb
pahunch gaya tere hamnam ke yahan shayad
bata raha hai KHat-e-naz-e-nama-bar ka fareb
tumhaare jalwa-e-raushan ki hai ye tabani
na khao wasl ki shab tabish-e-sahar ka fareb
kisi ke jalwa-e-awwal ne wo sitam Dhae
ki hum na khaenge ab jalwa-e-digar ka fareb
qadam to tez hain manzil magar hanuz hai dur
har ek gam pe khate hain ham-safar ka fareb
umid-e-wasl mein kaTi tamam raat 'wali'
sahar hui to khula lal-e-hila-gar ka fareb
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.