tamam aansu agar shabdon mein Dhal jate to achchha tha
tamam aansu agar shabdon mein Dhal jate to achchha tha
Updesh Vidyarthi
MORE BYUpdesh Vidyarthi
tamām aañsū agar shabdoñ meñ Dhal jaate to achchhā thā
tirī yādoñ se ham bāhar nikal jaate to achchhā thā
sar-e-mahfil batā kar yuuñ hue rusvā hamīñ to haiñ
ki saare raaz dil ke ham nigal jaate to achchhā thā
purānī baat ko le kar jo pachhtāo to kyā hāsil
agar tum vaqt rahte hī sañbhal jaate to achchhā thā
zamāne aur the un ke mohabbat aur thī un kī
jo mehmānoñ se kahte the ki kal jaate to achchhā thā
sajī hai bazm ulfat kī agar 'updesh' aise meñ
sabhī be-mausamī bādal bhī Tal jaate to achchhā thā
tamam aansu agar shabdon mein Dhal jate to achchha tha
teri yaadon se hum bahar nikal jate to achchha tha
sar-e-mahfil bata kar yun hue ruswa hamin to hain
ki sare raaz dil ke hum nigal jate to achchha tha
purani baat ko le kar jo pachhtao to kya hasil
agar tum waqt rahte hi sanbhal jate to achchha tha
zamane aur the un ke mohabbat aur thi un ki
jo mehmanon se kahte the ki kal jate to achchha tha
saji hai bazm ulfat ki agar 'updesh' aise mein
sabhi be-mausami baadal bhi Tal jate to achchha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.