tamam aish-o-tarab hain faqat usi ke liye
tamam aish-o-tarab hain faqat usi ke liye
Khurshid Khawar Amrohvi
MORE BYKhurshid Khawar Amrohvi
tamām aish-o-tarab haiñ faqat usī ke liye
ḳhirad se kaam liyā jis ne zindagī ke liye
ye irtiqā-e-ḳhirad hai ki intihā-e-junūñ
junūñ-navāz bane haiñ jo āgahī ke liye
chamak rahe haiñ jo qatrāt-e-ḳhūñ sar-e-mizhgāñ
ye ehtimām-e-charāġhāñ hai aap hī ke liye
jahāñ gumān bhī ho aap ke guzarne kā
vahīñ jhukā diyā sar maiñ ne bandagī ke liye
mah-o-nujūm pe Daalī ga.ī kamand-e-shu.ūr
ye iltizām hai do din kī zindagī ke liye
ye jashn-e-aish-o-tarab aap hī ke dam se hai
hue haiñ aap to paidā hī dilbarī ke liye
lahū se apne jalā kar charāġh āñkhoñ meñ
harīm-e-dil ko sajāyā hai aap hī ke liye
usī ke vāste chamke haiñ kaukab-e-taqdīr
charāġh-e-hosh bhī raushan hai aadmī ke liye
samajh sakā na anal-haq ke raaz ko 'ḳhāvar'
ye ek khel thā irfāñ ke muntahī ke liye
tamam aish-o-tarab hain faqat usi ke liye
KHirad se kaam liya jis ne zindagi ke liye
ye irtiqa-e-KHirad hai ki intiha-e-junun
junun-nawaz bane hain jo aagahi ke liye
chamak rahe hain jo qatraat-e-KHun sar-e-mizhgan
ye ehtimam-e-charaghan hai aap hi ke liye
jahan guman bhi ho aap ke guzarne ka
wahin jhuka diya sar main ne bandagi ke liye
mah-o-nujum pe Dali gai kamand-e-shuur
ye iltizam hai do din ki zindagi ke liye
ye jashn-e-aish-o-tarab aap hi ke dam se hai
hue hain aap to paida hi dilbari ke liye
lahu se apne jala kar charagh aankhon mein
harim-e-dil ko sajaya hai aap hi ke liye
usi ke waste chamke hain kaukab-e-taqdir
charagh-e-hosh bhi raushan hai aadmi ke liye
samajh saka na anal-haq ke raaz ko 'KHawar'
ye ek khel tha irfan ke muntahi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.