Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam-duniya ka laKHt-e-jigar bana hua tha

Faiz Khalilabadi

tamam-duniya ka laKHt-e-jigar bana hua tha

Faiz Khalilabadi

MORE BYFaiz Khalilabadi

    tamām-duniyā laḳht-e-jigar banā huā thā

    vo aadmī jo mirā dard-e-sar banā huā thā

    use talāsh rahī haiñ mirī udaas āñkheñ

    jo ḳhvāb raat ke pichhle pahar banā huā thā

    pahuñch ke kūcha-e-jānāñ meñ aa gayā bāhar

    mire vajūd ke andar jo Dar banā huā thā

    kamāl-e-ishq ne mere kiyā hai zer use

    kisī husn jo kal tak zabar banā huā thā

    utartī kaise sukūñ vahāñ koī chiḌiyā

    mahal jo hirs buniyād par banā huā thā

    banā diyā use insān terī qurbat ne

    tire firāq meñ jo jānvar banā huā thā

    ye us shauq nahīñ us inkisārī thī

    vasī.a ho ke bhī jo muḳhtasar banā huā thā

    pahuñch gayā hai javānī se ab buḌhāpe tak

    vo ek dukh jo sharīk-e-safar banā huā thā

    havas ke chaak miTTī javān thī jab tak

    tamām-shahr yahāñ kūza-gar banā huā thā

    vo jāntā thā mire an-kahe dukhoñ ilaaj

    magar vo 'faiz'-miyāñ be-ḳhabar banā huā thā

    tamam-duniya ka laKHt-e-jigar bana hua tha

    wo aadmi jo mera dard-e-sar bana hua tha

    use talash rahi hain meri udas aankhen

    jo KHwab raat ke pichhle pahar bana hua tha

    pahunch ke kucha-e-jaanan mein aa gaya bahar

    mere wajud ke andar jo Dar bana hua tha

    kamal-e-ishq ne mere kiya hai zer use

    kisi ka husn jo kal tak zabar bana hua tha

    utarti kaise sukun ki wahan koi chiDiya

    mahal jo hirs ki buniyaad par bana hua tha

    bana diya use insan teri qurbat ne

    tere firaq mein jo jaanwar bana hua tha

    ye us ka shauq nahin us ki inkisari thi

    wasia ho ke bhi jo muKHtasar bana hua tha

    pahunch gaya hai jawani se ab buDhape tak

    wo ek dukh jo sharik-e-safar bana hua tha

    hawas ke chaak ki miTTi jawan thi jab tak

    tamam-shahr yahan kuza-gar bana hua tha

    wo jaanta tha mere an-kahe dukhon ka ilaj

    magar wo 'faiz'-miyan be-KHabar bana hua tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now