tamam fitnon se KHud ko bacha liya maine
tamām fitnoñ se ḳhud ko bachā liyā maiñ ne
munāfiqīn se pīchhā chhuḌā liyā maiñ ne
na jaane kis liye zahmat uThā rahe haiñ log
darāz qad bhī jab apnā ghaTā liyā maiñ ne
shanāḳht ho sake jis se fareb-kāroñ kī
janāb-e-vālā vo chashma lagā liyā maiñ ne
mirī anā pe zarā bhī kahīñ jo harf aayā
to āsmān ko sar par uThā liyā maiñ ne
tujhe maiñ tark karūñ kis tarah ġhazal-goī
tujhe to ziist kā hissa banā liyā maiñ ne
hue shikār jo ahbāb bad-gumānī ke
unheñ bhī husn-e-vafā se manā liyā maiñ ne
masarratoñ se bahut ghuT rahā thā dam 'ālam'
ġham-e-hayāt ko apnā banā liyā maiñ ne
tamam fitnon se KHud ko bacha liya main ne
munafiqin se pichha chhuDa liya main ne
na jaane kis liye zahmat uTha rahe hain log
daraaz qad bhi jab apna ghaTa liya main ne
shanaKHt ho sake jis se fareb-karon ki
janab-e-wala wo chashma laga liya main ne
meri ana pe zara bhi kahin jo harf aaya
to aasman ko sar par uTha liya main ne
tujhe main tark karun kis tarah ghazal-goi
tujhe to zist ka hissa bana liya main ne
hue shikar jo ahbab bad-gumani ke
unhen bhi husn-e-wafa se mana liya main ne
masarraton se bahut ghuT raha tha dam 'alam'
gham-e-hayat ko apna bana liya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.