tamam hota nahin hai koi kisi ke liye
tamām hotā nahīñ hai koī kisī ke liye
na zindagī ke liye hī na āshiqī ke liye
maiñ chāhtā huuñ zarā der ḳhud ke saath rahūñ
maiñ chāhtā huuñ chale jaao tum abhī ke liye
unheñ añdheroñ meñ dekhā to dukh huā mujh ko
mujhe jo chhoḌ ga.e log raushnī ke liye
hamāre paas bachā kuchh nahīñ hai khone ko
hai intiḳhāb ġhalat terā dushmanī ke liye
ye bol kar vo tazabzub meñ mujh ko Daal gayā
maiñ jā rahā huuñ faqat terī behtarī ke liye
tamam hota nahin hai koi kisi ke liye
na zindagi ke liye hi na aashiqi ke liye
main chahta hun zara der KHud ke sath rahun
main chahta hun chale jao tum abhi ke liye
unhen andheron mein dekha to dukh hua mujh ko
mujhe jo chhoD gae log raushni ke liye
hamare pas bacha kuchh nahin hai khone ko
hai intiKHab ghalat tera dushmani ke liye
ye bol kar wo tazabzub mein mujh ko Dal gaya
main ja raha hun faqat teri behtari ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.