tamam izzat-o-rifat KHuda ki shan mein hai
tamām izzat-o-rif.at ḳhudā kī shaan meñ hai
vahī gavāhī mo.azzin kī har azaan meñ hai
purāne zaḳhm mire ho ga.e haiñ phir taaza
ajiib dard kī lazzat tire bayān meñ hai
sitamgaroñ ke jigar ko jo pāsh-pāsh kare
ik aisā tiir abhī tak mirī kamān meñ hai
ajiib baat hai dushman bhī qadr karte haiñ
ye ek jādūgarī bhī tirī zabān meñ hai
vo jin ke nuur se pur-nūr kā.enāt huī
unhīñ kā nuur zamīñ aur āsmān meñ hai
mirī duā hai ḳhudā us ko shād-kām rakhe
jo lutf-e-sher mirī mādarī zabān meñ hai
ḳhudā ne baḳhshī hai 'maqsūd' jo tujhe ḳhūbī
kahāñ vo ḳhūbī kisī aur ḳhush-bayān meñ hai
tamam izzat-o-rifat KHuda ki shan mein hai
wahi gawahi moazzin ki har azan mein hai
purane zaKHm mere ho gae hain phir taza
ajib dard ki lazzat tere bayan mein hai
sitamgaron ke jigar ko jo pash-pash kare
ek aisa tir abhi tak meri kaman mein hai
ajib baat hai dushman bhi qadr karte hain
ye ek jadugari bhi teri zaban mein hai
wo jin ke nur se pur-nur kaenat hui
unhin ka nur zamin aur aasman mein hai
meri dua hai KHuda us ko shad-kaam rakhe
jo lutf-e-sher meri madari zaban mein hai
KHuda ne baKHshi hai 'maqsud' jo tujhe KHubi
kahan wo KHubi kisi aur KHush-bayan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.