tamam jalwe hain raushan jamal-e-yar hai ek
tamām jalve haiñ raushan jamāl-e-yār hai ek
hazāroñ phuul khile haiñ magar bahār hai ek
shuā.eñ lākhoñ haiñ ḳhurshīd-e-zar-nigār hai ek
karoḌoñ qatre haiñ dariyā-e-be-kanār hai ek
bharī huī haiñ sharābeñ ḳhumoñ meñ rangā-rang
maze haiñ sab ke judāgāna par ḳhumār hai ek
karoḌoñ būñdeñ haiñ lekin hai ek abr-e-matīr
karishme bū-qalamūñ haiñ nigāh-e-yār hai ek
haqīqat ek hai lekin haiñ laakh afsāne
hazāroñ chashme haiñ jaarī par ābshār hai ek
hai ek sham.a-e-tajallī hazār parvāne
hazāroñ naġhme chhiḌe haiñ magar sitār hai ek
base hue haiñ hazāroñ dimāġh ḳhushbū se
shamīm-e-silsila-e-zulf-e-mushk-bār hai ek
hai ek ḳhvāb-e-haqīqat hazār ta.abīreñ
haiñ rāste mutafarriq maqām-e-yār hai ek
'valī' ḳhalal nahīñ kasrat se asl vahdat meñ
hazār bhī dur-e-shahvār hoñ to haar hai ek
tamam jalwe hain raushan jamal-e-yar hai ek
hazaron phul khile hain magar bahaar hai ek
shuaen lakhon hain KHurshid-e-zar-nigar hai ek
karoDon qatre hain dariya-e-be-kanar hai ek
bhari hui hain sharaben KHumon mein ranga-rang
maze hain sab ke judagana par KHumar hai ek
karoDon bunden hain lekin hai ek abr-e-matir
karishme bu-qalamun hain nigah-e-yar hai ek
haqiqat ek hai lekin hain lakh afsane
hazaron chashme hain jari par aabshaar hai ek
hai ek shama-e-tajalli hazar parwane
hazaron naghme chhiDe hain magar sitar hai ek
base hue hain hazaron dimagh KHushbu se
shamim-e-silsila-e-zulf-e-mushk-bar hai ek
hai ek KHwab-e-haqiqat hazar tabiren
hain raste mutafarriq maqam-e-yar hai ek
'wali' KHalal nahin kasrat se asl wahdat mein
hazar bhi dur-e-shahwar hon to haar hai ek
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.