tamam jism agar la-ubaal hai to rahe
tamām jism agar lā-ubāl hai to rahe
vahī jo dasht meñ tanhā ġhazāl hai to rahe
faqīr bhuul chukā hai nisāb duniyā kā
tire nasīb meñ māl-o-manāl hai to rahe
'azīz rakhtī hai mujh ko vatan kī ḳhaak bahut
tire ḳhulūs meñ ranj-o-malāl hai to rahe
kiyā hai jang ko ruḳhsat magar du'ā de kar
'adū ke paas agar us kī Dhaal hai to rahe
talāsh karne ko nikle bahut se log tujhe
nishān qadmoñ kā milnā muhāl hai to rahe
hisār bāñdh rahī hai 'nisār' sarshārī
ḳhilāf aaj junūb-o-shumāl hai to rahe
tamam jism agar la-ubaal hai to rahe
wahi jo dasht mein tanha ghazal hai to rahe
faqir bhul chuka hai nisab duniya ka
tere nasib mein mal-o-manal hai to rahe
'aziz rakhti hai mujh ko watan ki KHak bahut
tere KHulus mein ranj-o-malal hai to rahe
kiya hai jang ko ruKHsat magar du'a de kar
'adu ke pas agar us ki Dhaal hai to rahe
talash karne ko nikle bahut se log tujhe
nishan qadmon ka milna muhaal hai to rahe
hisar bandh rahi hai 'nisar' sarshaari
KHilaf aaj junub-o-shumal hai to rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.