tamam KHalq-e-KHuda dekh ke ye hairan hai
tamām ḳhalq-e-ḳhudā dekh ke ye hairāñ hai
ki saarā shahr mire ḳhvāb se pareshāñ hai
maiñ is safar meñ kisī moḌ par nahīñ Thahrā
rahā ḳhayāl ki vo vādī-e-ġhazālāñ hai
ye ek maiñ ki tirī aarzū hī sab kuchh hai
vo ek tū ki mire saa.e se gurezāñ hai
to hāfize se tirā naam kyuuñ nahīñ miTtā
jo yaad rakhnā hai mushkil bhulānā āsāñ hai
maiñ us kitāb ke kis baab ko paḌhūñ pahle
visāl jis kā hai mazmūñ firāq unvāñ hai
tamam KHalq-e-KHuda dekh ke ye hairan hai
ki sara shahr mere KHwab se pareshan hai
main is safar mein kisi moD par nahin Thahra
raha KHayal ki wo wadi-e-ghazalan hai
ye ek main ki teri aarzu hi sab kuchh hai
wo ek tu ki mere sae se gurezan hai
to hafize se tera nam kyun nahin miTta
jo yaad rakhna hai mushkil bhulana aasan hai
main us kitab ke kis bab ko paDhun pahle
visal jis ka hai mazmun firaq unwan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.