tamam lahjon mein lahja wahi jo pyar ka hai
tamām lahjoñ meñ lahja vahī jo pyaar kā hai
tamām tohfoñ meñ tohfa ik e'tibār kā hai
ḳhizāñ ke biij zamīnoñ meñ bo ke baiThe haiñ
aur intizār kisī mausam-e-bahār kā hai
kisī bhī kār-e-junūñ meñ koī ḳhasāra nahīñ
ḳhasāra koī agar hai to intizār kā hai
tamām sūd-o-ziyāñ kā hisāb rahtā hai
ta.alluqāt kā har lahja kārobār kā hai
javāb duuñ tire lahje meñ dil ye kahtā hai
maiñ chup rahūñ ye taqāzā mire vaqār kā hai
tamam lahjon mein lahja wahi jo pyar ka hai
tamam tohfon mein tohfa ek e'tibar ka hai
KHizan ke bij zaminon mein bo ke baiThe hain
aur intizar kisi mausam-e-bahaar ka hai
kisi bhi kar-e-junun mein koi KHasara nahin
KHasara koi agar hai to intizar ka hai
tamam sud-o-ziyan ka hisab rahta hai
talluqat ka har lahja karobar ka hai
jawab dun tere lahje mein dil ye kahta hai
main chup rahun ye taqaza mere waqar ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.