tamam moajaze sari shahadaten le kar
tamām mo.ajaze saarī shahādateñ le kar
maiñ aab o ḳhaak se guzrā adāvateñ le kar
ḳhud apne harf ke sho.ale meñ jal ke lauTā huuñ
maiñ ik safar pe gayā thā hikāyateñ le kar
kashāñ-kashāñ lab-e-sāhil utar ga.ī mujh meñ
udaas raat samundar kī vus.ateñ le kar
had-e-zamān-o-makāñ se guzar rahā huuñ maiñ
ḳhud apne hone na hone kī hairateñ le kar
abhī to zaḳhm sile the ki āsmāñ se koī
mirī taraf chalā aayā jarāhateñ le kar
zamīñ ke logo suno hashr ab na uTThegā
guzar gayā koī saarī qayāmateñ le kar
akelā shahr meñ phirtā huuñ saarā din 'sābir'
maiñ apne bichhḌe huoñ kī shabāhateñ le kar
tamam moajaze sari shahadaten le kar
main aab o KHak se guzra adawaten le kar
KHud apne harf ke shoale mein jal ke lauTa hun
main ek safar pe gaya tha hikayaten le kar
kashan-kashan lab-e-sahil utar gai mujh mein
udas raat samundar ki wusaten le kar
had-e-zaman-o-makan se guzar raha hun main
KHud apne hone na hone ki hairaten le kar
abhi to zaKHm sile the ki aasman se koi
meri taraf chala aaya jarahaten le kar
zamin ke logo suno hashr ab na uTThega
guzar gaya koi sari qayamaten le kar
akela shahr mein phirta hun sara din 'sabir'
main apne bichhDe huon ki shabahaten le kar
- Book : siip-volume-47 (Pg. 48)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.