tamam phul se chehron ki surKHiyan uD jaen
tamām phuul se chehroñ kī surḳhiyāñ uḌ jaa.eñ
agar chaman se ye ḳhush-rañg titliyāñ uḌ jaa.eñ
vo bevafā bhī hai maġhrūr bhī hai patthar bhī
use tarāshne baiThūñ to chheniyāñ uḌ jaa.eñ
ye hausla hai hamārā ki ab bhī raushan haiñ
havā kī zad pe raho tum to Topiyāñ uḌ jaa.eñ
bharā huā hai vo bārūd mere siine meñ
agar koī mujhe chhū le to dhajjiyāñ uḌ jaa.eñ
tamam phul se chehron ki surKHiyan uD jaen
agar chaman se ye KHush-rang titliyan uD jaen
wo bewafa bhi hai maghrur bhi hai patthar bhi
use tarashne baiThun to chheniyan uD jaen
ye hausla hai hamara ki ab bhi raushan hain
hawa ki zad pe raho tum to Topiyan uD jaen
bhara hua hai wo barud mere sine mein
agar koi mujhe chhu le to dhajjiyan uD jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.