tamam qahr-o-bala se hai wasta mera
tamām qahr-o-balā se hai vāsta merā
har ek hādisa lagtā hai hādisa merā
havā sunātī hai nauhagarī shahādat kā
har ek mauj pe likkhā hai marsiya merā
vo kaun hai mire andar jo vaar kartā hai
ye kis harīf se Thahrā muqābla merā
koī kitāb uThā.ūñ to ḳhuuñ Tapaktā hai
ye kaun kar gayā zaḳhmī mutāla merā
ḳhudā gavāh ki un kī zamīn tang huī
durust karne chale the jo qāfiya merā
tuyūr aa.e magar un kī choñch ḳhālī thī
farār ho gayā lashkar se abraha merā
ye kyā huā ki achānak dahal uThe bachche
vo koī pūchh rahā hai vahāñ pata merā
bichhaḌ ke us se har ik shai bichhaḌ ga.ī mujh se
usī kā aks dikhātā hai ā.īna merā
mujhe gumān kī merā zamīr zinda hai
use yaqīn ki sab kuchh hai vāhima merā
har ik balā kā mujhī par nuzūl hotā hai
likhā huā hai falak par kahīñ pata merā
falak-shigāf mirī chīḳh jab ubhartī hai
sunā.ī detā hai logoñ ko qahqaha merā
kise paḌī hai jo gahrā.iyoñ meñ utregā
yahāñ pe kaun samajhtā hai falsafa merā
maiñ barg-e-gul se karūñgā muqābla us kā
sunā do jā ke ye qātil ko faisla merā
tamam qahr-o-bala se hai wasta mera
har ek hadisa lagta hai hadisa mera
hawa sunati hai nauhagari shahadat ka
har ek mauj pe likkha hai marsiya mera
wo kaun hai mere andar jo war karta hai
ye kis harif se Thahra muqabla mera
koi kitab uThaun to KHun Tapakta hai
ye kaun kar gaya zaKHmi mutala mera
KHuda gawah ki un ki zamin tang hui
durust karne chale the jo qafiya mera
tuyur aae magar un ki chonch KHali thi
farar ho gaya lashkar se abraha mera
ye kya hua ki achanak dahal uThe bachche
wo koi puchh raha hai wahan pata mera
bichhaD ke us se har ek shai bichhaD gai mujh se
usi ka aks dikhata hai aaina mera
mujhe guman ki mera zamir zinda hai
use yaqin ki sab kuchh hai wahima mera
har ek bala ka mujhi par nuzul hota hai
likha hua hai falak par kahin pata mera
falak-shigaf meri chiKH jab ubharti hai
sunai deta hai logon ko qahqaha mera
kise paDi hai jo gahraiyon mein utrega
yahan pe kaun samajhta hai falsafa mera
main barg-e-gul se karunga muqabla us ka
suna do ja ke ye qatil ko faisla mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.