tamam ranaiyan sameTe nazar nazar mein samae jaana
tamam ranaiyan sameTe nazar nazar mein samae jaana
Saeedullah Khan Ufuq
MORE BYSaeedullah Khan Ufuq
tamām ra.anā.iyāñ sameTe nazar nazar meñ samā.e jaanā
ye un ke jalvoñ kā mo.ajiza hai har ek manzar meñ paa.e jaanā
havāoñ kā kaam aur kyā hai bujhā.e jaanā bujhā.e jaanā
yahī mirā farz-e-mansabī hai charāġh-e-paiham jalā.e jaanā
usūl-e-rāh-e-vafā yahī hai yahī taqāzā hai rah-ravī kā
ravish ravish ġham uThā.e jaanā qadam qadam muskurā.e jaanā
mile na jab tak koī ishāra qadam hī uThtā nahīñ hamārā
zamīr kartā nahīñ gavārā kisī ke ghar bin bulā.e jaanā
yahī mohabbat kī ibtidā thī yahī mohabbat kī intihā thī
vo un kī bāteñ banā.e jaanā hamārā bātoñ meñ aa.e jaanā
nigāh-e-sad-iltifāt samjhūñ ki maz.haka-ḳhez baat samjhūñ
vo lauh-e-dil par 'ufuq' barārī kā naam likh kar miTā.e jaanā
tamam ranaiyan sameTe nazar nazar mein samae jaana
ye un ke jalwon ka moajiza hai har ek manzar mein pae jaana
hawaon ka kaam aur kya hai bujhae jaana bujhae jaana
yahi mera farz-e-mansabi hai charagh-e-paiham jalae jaana
usul-e-rah-e-wafa yahi hai yahi taqaza hai rah-rawi ka
rawish rawish gham uThae jaana qadam qadam muskurae jaana
mile na jab tak koi ishaara qadam hi uThta nahin hamara
zamir karta nahin gawara kisi ke ghar bin bulae jaana
yahi mohabbat ki ibtida thi yahi mohabbat ki intiha thi
wo un ki baaten banae jaana hamara baaton mein aae jaana
nigah-e-sad-iltifat samjhun ki mazhaka-KHez baat samjhun
wo lauh-e-dil par 'ufuq' barari ka nam likh kar miTae jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.