tamam rasta phulon bhara tumhaara tha
tamām rāsta phūloñ bharā tumhārā thā
hamārī raah meñ bas naqsh-e-pā hamārā thā
us ek sā.at-e-shab kā ḳhumār yaad kareñ
badan ke lams ko jab ham ne mil ke bāñTā thā
vo ek lamha jise tum ne chhū ke chhoḌ diyā
us ek lamhe meñ kaif-e-visāl saarā thā
phir is ke baa'd nigāhoñ ne kuchh nahīñ dekhā
na jaane kaun thā jo sāmne se guzrā thā
ab us ke naam pe dil ne dhḌaknā chhoḌ diyā
vo jis ko ham ne kabhī be-hisāb chāhā thā
vo jis ko dekhā thā aksar hujūm-e-yārāñ meñ
vo ek shaḳhs bahut un dinoñ akelā thā
tamām saut-o-sadā chup se ho ga.e the 'zubair'
vo jab sukūt ke patthar pe gir ke TuuTā thā
tamam rasta phulon bhara tumhaara tha
hamari rah mein bas naqsh-e-pa hamara tha
us ek saat-e-shab ka KHumar yaad karen
badan ke lams ko jab hum ne mil ke banTa tha
wo ek lamha jise tum ne chhu ke chhoD diya
us ek lamhe mein kaif-e-visal sara tha
phir is ke ba'd nigahon ne kuchh nahin dekha
na jaane kaun tha jo samne se guzra tha
ab us ke nam pe dil ne dhDakna chhoD diya
wo jis ko hum ne kabhi be-hisab chaha tha
wo jis ko dekha tha aksar hujum-e-yaran mein
wo ek shaKHs bahut un dinon akela tha
tamam saut-o-sada chup se ho gae the 'zubair'
wo jab sukut ke patthar pe gir ke TuTa tha
- Book : Asaleeb (Pg. 205)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.