tamam rasta wo mujhse dur dur raha
tamām rāsta vo mujh se duur duur rahā
bahut qarīb se ya.anī vo mujh ko jāntā thā
vo ek chīḳh ki ek ik makāñ ko chiir ga.ī
ḳhamosh shahr kī nazroñ meñ sirf malba thā
bharā bharā sā jo kal thā vo aaj ḳhālī hai
ki ek raat meñ āñgan kā peḌ suukh gayā
ḳhamosh baiThe haiñ manzil pe sar jhukā.e hue
ki jhūTā sachchā kahīñ koī hādisa na huā
safar kī raah chuneñ bhī to kyā chuneñ 'ābid'
ik aañkh meñ hai samundar ik aañkh meñ sahrā
tamam rasta wo mujh se dur dur raha
bahut qarib se yani wo mujh ko jaanta tha
wo ek chiKH ki ek ek makan ko chir gai
KHamosh shahr ki nazron mein sirf malba tha
bhara bhara sa jo kal tha wo aaj KHali hai
ki ek raat mein aangan ka peD sukh gaya
KHamosh baiThe hain manzil pe sar jhukae hue
ki jhuTa sachcha kahin koi hadisa na hua
safar ki rah chunen bhi to kya chunen 'abid'
ek aankh mein hai samundar ek aankh mein sahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.