tamam raat aansuon se gham ujalta raha
tamām raat āñsuoñ se ġham ujāltā rahā
maiñ ġham ujaal ujaal kar ḳhushī meñ Dhāltā rahā
javān merī himmateñ buland mere hausle
hisār toḌtā rahā kamand Dāltā rahā
bahut hī talḳh tajraba tumhārī bazm meñ huā
har aadmī mirī anā ke bal nikāltā rahā
haiñ iltavā kī god ke palle sab us ke mas.ale
kisī ko hal nahīñ kiyā hamesha Tāltā rahā
tire ḳhilāf is liye mirī zabāñ na khul sakī
maiñ apnī ḳhāmiyoñ pe bhī nigāh Dāltā rahā
ḳhayāl-e-yār terī nigahdāsht is tarah huī
dimāġh thak ke so gayā to dil sambhāltā rahā
'hafīz' kyā sunā.ūñ apnī ḳhvāhishoñ kī dāstāñ
pilā pilā ke duudh kitne saañp pāltā rahā
tamam raat aansuon se gham ujalta raha
main gham ujal ujal kar KHushi mein Dhaalta raha
jawan meri himmaten buland mere hausle
hisar toDta raha kamand Dalta raha
bahut hi talKH tajraba tumhaari bazm mein hua
har aadmi meri ana ke bal nikalta raha
hain iltawa ki god ke palle sab us ke masale
kisi ko hal nahin kiya hamesha Talta raha
tere KHilaf is liye meri zaban na khul saki
main apni KHamiyon pe bhi nigah Dalta raha
KHayal-e-yar teri nigahdasht is tarah hui
dimagh thak ke so gaya to dil sambhaalta raha
'hafiz' kya sunaun apni KHwahishon ki dastan
pila pila ke dudh kitne sanp palta raha
- Book : Dastavez (Pg. 20)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.