tamam raat isi fikr mein guzar jae
tamām raat isī fikr meñ guzar jaa.e
koī to sub.h mirī zindagī sañvar jaa.e
vo apne bachchoñ ko kyā achchhī tarbiyat degā
jo der raat ga.e mahfiloñ se ghar jaa.e
ḳhayāl itnā rahe ret sā ḳhayāl na ho
badalte vaqt kī āñdhī meñ jo bikhar jaa.e
usī pe aañkh bichhā.e hue maiñ baiThā huuñ
tumhārī jānib-e-manzil jo rahguzar jaa.e
vo kaun thā mirā dāman bhigo gayā hai jo
vo kis kī yaad hai jo be-qarār kar jaa.e
kabhī umiid kā dāman na chhoḌnā 'āzar'
jo aas TuuTī to insān samjho mar jaa.e
tamam raat isi fikr mein guzar jae
koi to subh meri zindagi sanwar jae
wo apne bachchon ko kya achchhi tarbiyat dega
jo der raat gae mahfilon se ghar jae
KHayal itna rahe ret sa KHayal na ho
badalte waqt ki aandhi mein jo bikhar jae
usi pe aankh bichhae hue main baiTha hun
tumhaari jaanib-e-manzil jo rahguzar jae
wo kaun tha mera daman bhigo gaya hai jo
wo kis ki yaad hai jo be-qarar kar jae
kabhi umid ka daman na chhoDna 'azar'
jo aas TuTi to insan samjho mar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.