tamam raat saDak par hamein biThaya gaya
tamām raat saḌak par hameñ biThāyā gayā
jab ehtimām nahīñ thā to kyoñ bulāyā gayā
bulā rahī thī koī chhāñv aisī ujlat meñ
ki apnā saaya bhī ham se nahīñ uThāyā gayā
tumheñ to aag dikhā.ī ga.ī suhūlat se
hameñ charāġh samajh kar dhuāñ dikhāyā gayā
bahut dinoñ meñ utartā hai zañg andar kā
bahut dinoñ mirī āñkhoñ ko āzmāyā gayā
nadī ne āḳhirī kankar bhī kar diyā māyūs
bas ek saañs bachā thā so khīñch laayā gayā
tamam raat saDak par hamein biThaya gaya
jab ehtimam nahin tha to kyon bulaya gaya
bula rahi thi koi chhanw aisi ujlat mein
ki apna saya bhi hum se nahin uThaya gaya
tumhein to aag dikhai gai suhulat se
hamein charagh samajh kar dhuan dikhaya gaya
bahut dinon mein utarta hai zang andar ka
bahut dinon meri aankhon ko aazmaya gaya
nadi ne aaKHiri kankar bhi kar diya mayus
bas ek sans bacha tha so khinch laya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.