tamam raat sitaron ko munh chiDhate hain
tamām raat sitāroñ ko muñh chiḌhāte haiñ
ye kis kī yaad ke jugnū hameñ jagāte haiñ
shab-e-firāq faqat sāneha nahīñ ġham kā
yahāñ pahuñch ke ḳhayālāt jagmagāte haiñ
har ek saañs hameñ aur tabāh kartī hai
ham apne shor-e-tanaffus se ḳhauf khāte haiñ
ḳhizāñ-pasand bahāroñ meñ gum nahīñ hote
basant meñ bhī ka.ī phuul suukh jaate haiñ
tamam raat sitaron ko munh chiDhate hain
ye kis ki yaad ke jugnu hamein jagate hain
shab-e-firaq faqat saneha nahin gham ka
yahan pahunch ke KHayalat jagmagate hain
har ek sans hamein aur tabah karti hai
hum apne shor-e-tanaffus se KHauf khate hain
KHizan-pasand bahaaron mein gum nahin hote
basant mein bhi kai phul sukh jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.