Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam raat wo jaga kisi ke wade par

Vafa Malikpuri

tamam raat wo jaga kisi ke wade par

Vafa Malikpuri

tamām raat vo jaagā kisī ke va.ade par

vafā ko aa ga.ī niiñd raat Dhalne par

jo sab dost thā har anjuman raunaq thā

kal us laash milī us ke ghar ke malbe par

vo zauq-e-fan ho ki shāḳh-e-chaman ki ḳhāk-e-vatan

har ik haq hai mire ḳhuuñ ke qatre qatre par

haqīqateñ nazar aa.eñ to kis tarah un ko

ta.assubāt ainak hai jin ke chehre par

chaman meñ yuuñ to the kuchh aur āshiyāñ lekin

girī jo barq to mere āshiyāne par

karam mujhī pe thā sab bāġhbān-o-gulchīñ

kisī ne qaid kiyā aur kisī ne noche par

ye dasht-e-huzn hai karb-o-balā sahrā hai

chalegā kaun yahāñ ab 'vafā' ke raste par

tamam raat wo jaga kisi ke wade par

wafa ko aa hi gai nind raat Dhalne par

jo sab ka dost tha har anjuman ki raunaq tha

kal us ki lash mili us ke ghar ke malbe par

wo zauq-e-fan ho ki shaKH-e-chaman ki KHak-e-watan

har ek ka haq hai mere KHun ke qatre qatre par

haqiqaten nazar aaen to kis tarah un ko

tassubaat ki ainak hai jin ke chehre par

chaman mein yun to the kuchh aur aashiyan lekin

giri jo barq to mere hi aashiyane par

karam mujhi pe tha sab baghban-o-gulchin ka

kisi ne qaid kiya aur kisi ne noche par

ye dasht-e-huzn hai karb-o-bala ka sahra hai

chalega kaun yahan ab 'wafa' ke raste par

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now