tamam rishte usi shaKH-e-be-samar se hain
tamām rishte usī shāḳh-e-be-samar se haiñ
talāsh unhī ko hai ghar kī jo nikle ghar se haiñ
shanāḳht kī ye kahānī bas ek nasl kī hai
phir is ke ba.ad fasāne idhar udhar se haiñ
abhī ḳhabar nahīñ nau-vāridān-e-hijrat ko
kahāñ se uTThe haiñ bādal kahāñ pe barse haiñ
qadam uThe nahīñ ma.alūm manziloñ kī taraf
magar udaas ham andesha-e-safar se haiñ
bas aañkh khulte hī tābīr-e-ḳhvāb mil jaa.e
ye kis tarah ke taqāze hameñ sahar se haiñ
nigāh rakhte haiñ sayyārgāñ kī nabz pe ham
aur apne chāroñ taraf kitne be-ḳhabar se haiñ
tamam rishte usi shaKH-e-be-samar se hain
talash unhi ko hai ghar ki jo nikle ghar se hain
shanaKHt ki ye kahani bas ek nasl ki hai
phir is ke baad fasane idhar udhar se hain
abhi KHabar nahin nau-waridan-e-hijrat ko
kahan se uTThe hain baadal kahan pe barse hain
qadam uThe nahin malum manzilon ki taraf
magar udas hum andesha-e-safar se hain
bas aankh khulte hi tabir-e-KHwab mil jae
ye kis tarah ke taqaze hamein sahar se hain
nigah rakhte hain sayyargan ki nabz pe hum
aur apne chaaron taraf kitne be-KHabar se hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.