tamam rishton ko be-kudurat bana diya hai
tamām rishtoñ ko be-kudūrat banā diyā hai
hameñ mohabbat ne ḳhūbsūrat banā diyā hai
vo ādatan be-niyāz laḌkī thī jis ne ḳhud ko
hamārī ḳhātir vafā kī mūrat banā diyā hai
maiñ tere bin zindagī guzārūñ to ḳhud ko hārūñ
ki tū ne ḳhud ko mirī zarūrat banā diyā hai
tumhārī ḳhātir likhī huī avvalīñ ġhazal ko
kitāb-e-imkāñ kī pahlī sūrat banā diyā hai
purāne va.adoñ kī dhajjiyoñ ko milā ke 'yāvar'
milan kā ham ne shagun mahūrat banā diyā hai
tamam rishton ko be-kudurat bana diya hai
hamein mohabbat ne KHubsurat bana diya hai
wo aadatan be-niyaz laDki thi jis ne KHud ko
hamari KHatir wafa ki murat bana diya hai
main tere bin zindagi guzarun to KHud ko haarun
ki tu ne KHud ko meri zarurat bana diya hai
tumhaari KHatir likhi hui awwalin ghazal ko
kitab-e-imkan ki pahli surat bana diya hai
purane wadon ki dhajjiyon ko mila ke 'yawar'
milan ka hum ne shagun mahurat bana diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.