tamam shahr ko hairan karne wala hun
tamām shahr ko hairān karne vaalā huuñ
maiñ apnī maut kā e'lān karne vaalā huuñ
maiñ jāntā huuñ ki hai fā.eda unheñ mujh se
vo sochte haiñ ki nuqsān karne vaalā huuñ
irāda kar liyā ab tujh ko bhuul jaane kā
maiñ ḳhud ko be-sar-o-sāmān karne vaalā huuñ
sajā rahā huuñ vafāoñ se dāman-e-qirtās
aur us ke pyaar ko unvān karne vaalā huuñ
kisī safar meñ mujhe ham-safar banā 'ejāz'
maiñ terī raah ko āsān karne vaalā huuñ
tamam shahr ko hairan karne wala hun
main apni maut ka e'lan karne wala hun
main jaanta hun ki hai faeda unhen mujh se
wo sochte hain ki nuqsan karne wala hun
irada kar liya ab tujh ko bhul jaane ka
main KHud ko be-sar-o-saman karne wala hun
saja raha hun wafaon se daman-e-qirtas
aur us ke pyar ko unwan karne wala hun
kisi safar mein mujhe ham-safar bana 'ejaz'
main teri rah ko aasan karne wala hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.